Halka sa ek khokhlapan,
Ubhar aane ki ek chaaha,
Chubhti hai kante jaisi,
Cheerti mera atmasamman....
Is kinare par main hoon akeli,
Jaise ret par bani tasveer,
Lehre aatin hain tej gati se,
Aur badalti hain mera takdeer...
Bikhar rahe hain sapne,
Toot rahe hain armaan,
Mera woh maulik lakshya,
Nazar aata hai kshitij samaan....
2 comments:
bahut sundar pukaar! woh sun lega tumhari pukaar aur tumhare lakshya tak pahuncha dega bahut jald!
Very nicely written! But this poem doesn't apply to you :)
Post a Comment